Aurat Ka NaMahram Ke Samne Chehra Zahir Karna Ek Azeem Fitna
Kuch Logo Ka Yeh Khayal Hai Ke Aurat Ager Chehre Ke Alawaa Poore Jism Ko Dhamp Le Tab Bhi Theek Hai..
Magar Aaye Hum Quran Me Dekhein Ke Wahan Se Humein Kya Hukum Mil Raha Hai?
Aaye Nabi (SAW) Apni Biwiyoun, Aur Apni Betiyoun Ko Aur Mominoun Ki Auratoun Ko Farma Dein Ke Woh Apne Oper Apni Chadarein Daal Liya Karein Yeh Qareeb Tar Hai Ke Unn Ki Pehchan Ho Jaye Toh Unhein Naa Sataya Jaye Aur Allah Baqshne Wala Nihayat Maherrban Hai.
(SURAH AHZAB-59)
Aur Jab Tum Unn Nabi (SAW) Ki Biwiyoun Se Koi Cheez Mango Toh Unn Se Parde Ke Peeche Se Maango.
Yeh Baat Tumhare Aur Unn Ke Diloun Keliye Zyada Pakeeza Hai.
(SURAH AHZAB-53)
Aur Sabiq Dour Jahiliyat Ki Sajj Dhajj Naa Dikhati Phiroo.
(SURAH AHZAB-33)
Oper Ki Aayatoun Me Pehle Toh Hukam Diya Gaya Hai Ke Agar Koi Cheez Maangni Ho Toh Parde Ke Peeche Se Maangi Jaye.
Zahir Hai Ke Ager Parde Ke Peeche Se Koi Cheez Maangi Jaa Rahi Hai Toh Lazimaan is Me Chehre Ke Parda Karne ki Taraf ishara Hai.
Dosri Jagah Irshad Farmaya Ke Zamana Jahiliyat Ki Sajj Dhajj Naa Dikhao Yani Apne Banao Singhar Ko Zahir Mat Karoo.
Phir Farmaya Hai Ke Ager Auratein Chaderain Lelein Yaani Parda Karein To Unn Ko Koi Pareshan Naa Karega Aur Maloom Ho Jayga Ke Yeh Kisi Shareef Ghar Se Hain.
Aaj Hum Khud Bhi is Baat Se Waqif Hain Ke Haqeeqat Me Parda Aurat Ko Respect Aur Sab Se Badh Kar Protection Provide Karta Hai…
Aapki Dua Ki Talib
Farah Naeem Khan
No comments:
Post a Comment